lījiye  tābānī-e-ālam  ke  sāmāñ  ho  ga.e
dil  ke  zarre  uḌ  ke  har  jānib  pareshāñ  ho  ga.e
dard-e-tanhā.ī  se  mar  jaanā  to  kuchh  mushkil  na  thā
kyā  kaheñ  ġham  se  magar  kuchh  ahd-o-paimāñ  ho  ga.e
iltifāt-e-dost  kā  mumkin  nahīñ  koī  sila
kam  hai  jān-o-dil  jo  sarf-e-shukr-e-ehsāñ  ho  ga.e
tujh  se  kyā  leñ  intiqām  ai  ḳhāk-e-be-barg-o-navā
vo  kahāñ  haiñ  mehr-o-mah  tujh  meñ  jo  pinhāñ  ho  ga.e
dāvat-e-jalva  hai  phir  barq-e-nigāh-e-nāz  ko
jam.a  phir  hastī  ke  ajzā-e-pareshāñ  ho  ga.e
ab  maiñ  samjhā  sīna-e-sozāñ  ke  shaq  hone  kā  raaz
aap  pinhāñ  kyā  hue  goyā  numāyāñ  ho  ga.e
jin  ko  honā  hī  na  thā  rāh-e-mohabbat  meñ  ġhubār
kis  tarah  vo  ḳhaak  ke  putle  phir  insāñ  ho  ga.e
ḳhāk-e-dil  ke  chand  zarre  uḌ  ga.e  the  ek  din
ban  ke  taare  āsmānoñ  par  daraḳhshāñ  ho  ga.e
kuchh  ḳhayāl-e-dost  aayā  thā  ki  aa  pahuñchī  bahār
jis  taraf  dekhā  gulistāñ  hī  gulistāñ  ho  ga.e
husn  ne  roz-e-azal  jab  ruḳh  se  sarkā.ī  naqāb
chand  jalve  rañg  ban  kar  bazm-e-imkāñ  ho  ga.e
chhā  rahā  hai  rañg  har  jānib  bahār-e-husn  kā
vā  haiñ  jin  ke  dīda-e-dil  gul-badāmāñ  ho  ga.e
rafta  rafta  ārzū-e-rastagārī  miT  ga.ī
rah  ke  zindāñ  meñ  'jigar'  āzād-e-zindāñ  ho  ga.e