kaḌā  hai  din  baḌī  hai  raat  jab  se  tum  nahīñ  aa.e
digar-gūñ  haiñ  mire  hālāt  jab  se  tum  nahīñ  aa.e
lagī  rahtī  hai  ashkoñ  kī  jhaḌī  garmī  ho  sardī  ho
nahīñ  ruktī  kabhī  barsāt  jab  se  tum  nahīñ  aa.e
na  kī  jaatī  hai  auroñ  se  mulāqāt  ek  lamhe  ko
na  ho  paatī  hai  ḳhud  se  baat  jab  se  tum  nahīñ  aa.e
patā  chaltā  nahīñ  thā  sā.atoñ  kā  jab  tum  aate  the
guzarte  haiñ  garāñ  lamhāt  jab  se  tum  nahīñ  aa.e
na  ghar  vaale  na  ham-sā.e  na  ahbāb-o-a.izzā  haiñ
ye  dil  hai  yā  ḳhudā  kī  zaat  jab  se  tum  nahīñ  aa.e