rahī  raat  un  se  mulāqāt  kam
mudārāt  ḳhāsī  huī  baat  kam
tirī  yaad  itnā  baḌā  kaam  hai
ki  mālūm  hote  haiñ  din  raat  kam
kahīñ  dil  bahaltā  nahīñ  shahr  meñ
na  bāzār  kam  haiñ  na  bāġhāt  kam
mohabbat  meñ  hotī  haiñ  insān  ko
shikasteñ  ziyāda  futūhāt  kam
sambhāle  hue  hai  ye  shoba  bhī  dil
ab  āñkhoñ  se  hotī  hai  barsāt  kam
dimāġhoñ  kī  parvāz  mālūm  hai
savālāt  vāfir  javābāt  kam
bahut  soñ  se  achchhā  huuñ  phir  bhī  'shu.ūr'
digar-gūñ  nahīñ  mere  hālāt  kam