un  kī  sūrat  hameñ  aa.ī  thī  pasand  āñkhoñ  se
aur  phir  ho  ga.ī  bālā-o-buland  āñkhoñ  se
koī  zanjīr  nahīñ  tār-e-nazar  se  mazbūt
ham  ne  is  chāñd  pe  Daalī  hai  kamand  āñkhoñ  se
Thahr  saktī  hai  kahāñ  us  ruḳh-e-tābāñ  pe  nazar
dekh  saktā  hai  use  aadmī  band  āñkhoñ  se
ham  uThāte  haiñ  maza  talḳhī  o  shīrīnī  kā
mai  piyāle  se  pilātā  hai  vo  qand  āñkhoñ  se
baat  karte  ho  to  hotā  hai  zabāñ  se  sadma
dekhte  ho  to  pahuñchtā  hai  gazand  āñkhoñ  se
har  mulāqāt  meñ  hotī  haiñ  hamāre  mābain
chand  bāteñ  lab-e-guftār  se  chand  āñkhoñ  se
ishq  meñ  hausla-mandī  bhī  zarūrī  hai  'shu.ūr'
dekhiye  us  kī  taraf  hausla-mand  āñkhoñ  se