Anwar Shuoor

kuchh din to kar taawun ai KHush-sifat mujhse

Anwar Shuoor

Seoni, Madhya Pradesh, India

1943

kuchh din to kar ta.āvun ai ḳhush-sifāt mujh se

tanhā na ho sakegī tat.hīr-e-zāt mujh se

fariyād ai samā.at insāf ai farāsat

karte haiñ ahl-e-duniyā duniyā baat mujh se

hairān huuñ ki us tak kis kis jihat se pahuñchūñ

āvārgī-talab haiñ sad-hā jihāt mujh se

kyuuñ ai hayāt-e-rafta roke hue hai rasta

kyā chāhtī hai āḳhir ai be-sabāt mujh se

yūnān ke saḳhī to talḳhāb nazr kar deñ

paanī aziiz rakkheñ ahl-e-furāt mujh se

gardish meñ haiñ sitāre hai koī jo pukāre

aa ai ġharīb-e-kūcha le zakāt mujh se

hai darīcha-e-dil ik chīḳh ban ke dar aa

sargoshiyāñ kahāñ tak ai sard raat mujh se

Top Urdushayar.com