Anwar Shuoor

kafi nahin KHutut kisi baat ke liye

Anwar Shuoor

Seoni, Madhya Pradesh, India

1943

kaafī nahīñ ḳhutūt kisī baat ke liye

tashrīf lā.iyegā mulāqāt ke liye

duniyā meñ kyā kisī se kisī ko ġharaz nahīñ

har koī rahā hai faqat zaat ke liye

ham bārgāh-e-nāz meñ us be-niyāz

paidā kiye ga.e haiñ shikāyāt ke liye

haiñ pattharoñ zad pe tumhārī galī meñ ham

kyā aa.e the yahāñ isī barsāt ke liye

apnī taraf se kuchh bhī unhoñ ne nahīñ kahā

ham ne javāb sirf savālāt ke liye

raushan karo na shaam se pahle charāġh-e-jām

din ke liye ye chiiz hai raat ke liye

mahñgā.ī rāh-e-rāst pe le aa.ī khīñch kar

bachtī nahīñ raqam burī ādāt ke liye

karne ke kaam kyuuñ nahīñ karte 'shu.ūr' tum

kyā zindagī milī hai ḳhurāfāt ke liye

Top Urdushayar.com