Jigar Barelvi

teri be-iltifati kya koi kam hoti jati hai

Jigar Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1890-1976
terī be-iltifātī kyā koī kam hotī jaatī hai
tabī.at rafta rafta ḳhūgar-e-ġham hotī jaatī hai
hazāroñ chāra-gar haiñ aur ġham baḌhte hī jaate haiñ
jo sūrat dekhiye tasvīr-e-mātam hotī jaatī hai
tasallī aap ne dī farq hai haañ dil kī hālat meñ
jo tham tham kar ḳhalish hotī thī paiham hotī jaatī hai
jo chiñgārī thī pahle ab vo bijlī ban ga.ī baḌh kar
mohabbat umr Dhal jaane se kyā kam hotī jaatī hai
nazar kyā aap kī badlī mizāj-e-zindagī badlā
jo pahle jāñ-fazā thī mai vahī kam hotī jaatī hai
kisī kā ġham samo.e jaatā hai rag rag meñ rañg aise
ki apnī zindagī husn-e-mujassam hotī jaatī hai
na ehsās-e-ġham-e-jānāñ na ehsās-e-ġham-e-daurāñ
to kyuuñ mānūs-e-girya chashm-e-pur-nam hotī jaatī hai
sab ulTī paḌ rahī haiñ shāyad āzādī kī tadbīreñ
ki zanjīr-e-mohabbat aur mohkam hotī jaatī hai
'jigar' kyā taab lā saktā hai koī dil meñ zaḳhmoñ kī
magar kuchh ġhaib se tadbīr-e-marham hotī jaatī hai
Top Urdushayar.com