Anwar Shuoor

nahin KHasta-haali pe na-mutmain hum

Anwar Shuoor

Seoni, Madhya Pradesh, India

1943
nahīñ ḳhasta-hālī pe nā-mutma.in ham
yahī TaaT maḳhmal yahī TaaT resham
ham achchhī tarah jānte haiñ ye nāseh
ki sachchā.ī kā ajr hai sāġhar-e-sam
kisī haal meñ bhī rakhe rakhne vaalā
bhalā dahr meñ kyā ḳhushī aur kyā ġham
nahīñ apnī ġhā.eb-dimāġhī pe hairat
mohabbat meñ hotā hai aksar ye aalam
koī shor sā dil meñ rahtā hai barpā
damā-dam damā-dam damā-dam damā-dam
rahe tazkire amn ke āshtī ke
magar bastiyoñ par baraste rahe bam
kahāñ chain se aaj duniyā meñ koī
ye jannat banā dī ga.ī hai jahannam
na guzrā kabhī ek lamha sukūñ se
mohabbat meñ aa.e vo din-rāt paiham
Top Urdushayar.com