agarche  ā.ina-e-dil  meñ  hai  qayām  us  kā
na  koī  shakl  hai  us  kī  na  koī  naam  us  kā
vahī  ḳhudā  kabhī  milvā.egā  hameñ  us  se
jo  intizār  karātā  hai  sub.h  o  shaam  us  kā
hamāre  saath  nahīñ  jā  sakā  thā  vo  lekin
rahā  ḳhayāl  siyāhat  meñ  gaam  gaam  us  kā
ḳhudā  ko  pyaar  hai  apne  har  ek  bande  se
safed-fām  hai  us  kā  siyāh-fām  us  kā
kamā  ke  dete  haiñ  jo  maal  vo  amīroñ  ko
hisāb  kyuuñ  nahīñ  lete  kabhī  avaam  us  kā
hamārā  farz  hai  be-lāg  raa.e  kā  iz.hār
koī  durust  kahe  yā  ġhalat  ye  kaam  us  kā
kahāñ  hai  shaiḳh  ko  sudh-budh  mazīd  piine  kī
nasha  utaar  ga.e  tiin  chaar  jaam  us  kā
zabān-e-dil  se  koī  shā.irī  sunātā  hai
to  sāma.īn  bhulāte  nahīñ  kalām  us  kā
'shu.ūr'  sab  se  alag  baiThtā  hai  mahfil  meñ
isī  se  aap  samajh  lījiye  maqām  us  kā