har  koī  kyuuñ  chup  baiThā  hai  sāhab  jī  kuchh  to  bolo
ḳhāmoshī  kā  kyā  qissa  hai  sāhab  jī  kuchh  to  bolo
aaj  qalam  kā  roza  hai  kyā  yā  kāġhaz  taqve  se  hai
qāsid  kyuuñ  fursat  likhtā  hai  sāhab  jī  kuchh  to  bolo
añgnā.ī  ke  peḌ  pe  panchhī  zikr  meñ  kyuuñ  masrūf  nahīñ
ye  sannāTā  sā  kaisā  hai  sāhab  jī  kuchh  to  bolo
majbūrī  se  muḳhtārī  tak  duurī  se  nazdīkī  tak
āḳhir  ye  kaisā  parda  hai  sāhab  jī  kuchh  to  bolo
kis  kis  kā  muñh  band  karoge  kis  ko  kis  ko  rokoge
burā  milan  ke  beach  meñ  kyā  hai  sāhab  jī  kuchh  to  bolo
jo  darvāza  lāchārī  ke  naam  pe  mujh  par  band  rahā
kyā  ab  bhī  vo  band  paḌā  hai  sāhab  jī  kuchh  to  bolo
is  duniyā  se  us  duniyā  tak  rusvā  kar  dene  ke  ba.ad
ab  logoñ  kā  kyā  kahnā  hai  sāhab  jī  kuchh  to  bolo
kal  tak  tum  ko  jaan  se  pyārā  dil  kā  sahārā  lagtā  thā
ab  'rahmānī'  kyā  lagtā  hai  sāhab  jī  kuchh  to  bolo