Parwez Rahmani

KHushk aankhon ki kahani dasht dasht apni hi thi

Parwez Rahmani

Ranchi, Jharkhand, India

1952
ḳhushk āñkhoñ kī kahānī dasht dasht apnī hī thī
nam havāoñ meñ sadā-e-bāzgasht apnī hī thī
DhūñDte phirte rahe the saaya saaya zindagī
dhuup kī galiyoñ meñ sub.h-o-shām gasht apnī hī thī
jāgtī rahtī thiiñ āñkheñ ḳhāna ḳhāna ḳhauf ḳhauf
ḳhvāb kī raushan-numā.ī tasht tasht apnī hī thī
jañgaloñ se shahr tak shāna-ba-shāna pusht pusht
silsila kartī huī vo sar-guzasht apnī hī thī
merī ḳhush-taba.ī na thī rū-e-ġharīb-e-shahr haañ
shahar-yāroñ meñ muzavvaj ḳhū-e-zasht apnī hī thī
karte the 'parvez' 'rahmānī' ujāle gul-kashīd
shab-girafta vādiyoñ meñ ḳhār-gasht apnī hī thī
Top Urdushayar.com