garm  yādoñ  kī  ridā  sard  rutoñ  kī  āvāz
bhīgī  āñkhoñ  kī  navā  saat  suroñ  kī  āvāz
tirchhe  sūraj  ne  sunī  sāya-darāzī  kī  duā
aur  ūñchī  huī  kotāh-qadoñ  kī  āvāz
tab  kahīñ  jā  ke  huiiñ  phir  mirī  jhilmil  palkeñ
reza  reza  huī  jab  shīsha-garoñ  kī  āvāz
mere  hoñToñ  pe  ḳhamoshī  kā  na  katba  likhnā
ghaT  ke  rah  jā.egī  āvāz-garoñ  kī  āvāz
thī  qabīle  meñ  sahar-band  nikaltī  kaise
dā.erātī  hī  rahī  ḳhīra-suroñ  kī  āvāz