Jigar Barelvi

dard darman se kam to kya hoga

Jigar Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1890-1976
dard darmāñ se kam to kyā hogā
yahī hogā ki kuchh sivā hogā
kis qayāmat kā sāmnā hogā
bujh gayā dil to aah kyā hogā
khul ga.e haiñ ḳhushī se sab ke dahan
zaḳhm-e-dil koī chhū gayā hogā
husn ko chāhe aur duur rahe
koī ham sā bhī pārsā hogā
maut aa.egī aur na aa.egī
tum na aa.e to aur kyā hogā
dil pe añgāre se baraste haiñ
dhyān rāhat kā aa gayā hogā
shaam hī se hai dil kī hālat ġhair
sub.h tak to na jaane kyā hogā
laakh de rañj laakh zulm kare
dilrubā phir bhī dilrubā hogā
vo mujhe mil ga.e zahe taalā
na milā dil se dil to kyā hogā
ye bhī koī karāhne kī hai baat
kuchh 'jigar' dard baḌh gayā hogā
miT gayā dil jigar qarār nahīñ
is mohabbat kā hashr kyā hogā
ruḳh jo us ne 'jigar' se pher liyā
daaġh dil kā dikhā diyā hogā
Top Urdushayar.com