andar  bāhar  uupar  nīche  ḳhvāb  hī  ḳhvāb
daa.eñ  baa.eñ  aage  pīchhe  ḳhvāb  hī  ḳhvāb
ḳhushbū  shabnam  rañg  kī  duniyā  ek  fareb
ġhunche  gul  buuTe  bāġhīche  ḳhvāb  hī  ḳhvāb
āñkheñ  chehre  chāñd  sitāre  raat  hī  raat
darvāze  dīvār  darīche  ḳhvāb  hī  ḳhvāb
hasrat  Tahnī  Tahnī  niiñd  meñ  Duubī  thī
bikhre  the  peḌoñ  ke  pīchhe  ḳhvāb  hī  ḳhvāb
kaash  ki  zinda  hote  ehsāsāt  sabhī
dekhā  karte  āñkheñ  mīche  ḳhvāb  hī  ḳhvāb
ummīdeñ  mehdī  ke  talve  chaaT  ga.iiñ
dikhlāte  kab  tak  ġhālīche  ḳhvāb  hī  ḳhvāb
ḳhvāhish  ḳhvāhish  jo  chāho  chun  lo  'parvez'
chhoḌ  chale  ham  apne  pīchhe  ḳhvāb  hī  ḳhvāb