kar  ga.ī  gul-tāb  rañgoñ  kī  farāvānī  hameñ
nuur  sā  rañg  de  gayā  shauq-e-ġhazal-rānī  hameñ
dāman-e-dil  be-zamīrī  se  bachā  paa.e  na  ham
lag  gayā  āḳhir  ko  shahr-e-ġhair  kā  paanī  hameñ
muft  meñ  baiThe  biThā.e  saarī  duniyā  dekh  lī
mil  na  paa.ī  thī  kabhī  aisī  tan-āsānī  hameñ
ḳhud-pasandī  dekhī  terī  ḳhud-sarī  bhī  dekh  lī
aur  kyā  dikhlā.egā  ai  dushman-e-jānī  hameñ
terī  marzī  ho  to  chakh  leñ  apnī  marzī  kā  maza
zindagī  kar  lene  de  thoḌī  sī  man-mānī  hameñ
zindagī  par  band  ho  kar  rah  ga.e  haiñ  rāste
kis  jagah  le  aa.ī  hai  is  dil  kī  man-mānī  hameñ
bāvajūd  is  ke  parāyoñ  ke  na  dil  ThanDe  hue
be-tarah  mahñgī  paḌī  apnoñ  kī  qurbānī  hameñ
yuuñ  to  ghar  vaale  bulāyā  karte  haiñ  abdul-hasīb
vaise  duniyā  kahtī  hai  'parvez'-rahmānī  hameñ