sab  ko  ḳhilāf  mat  kar
ā.īna  saaf  mat  kar
qad  yuuñ  baḌā  na  hogā
lāf-o-gazāf  mat  kar
rahne  de  jo  hai  jaisā
koī  ḳhilāf  mat  kar
jo  kah  rahā  hai  sun  le
bas  e'tirāf  mat  kar
jab  jāntā  nahīñ  kuchh
to  iḳhtilāf  mat  kar
sachchā.ī  sāmne  hai
ab  inhirāf  mat  kar
sab  ho  chukā  hai  sābit
ab  laam  qaaf  mat  kar
mat  bojh  zehn  par  rakh
dil  ke  ḳhilāf  mat  kar