jal  ga.iiñ  āñkheñ  sabhī  ḳhush-rañg  chehre  uḌ  ga.e
aisī  garmī  thī  ki  ā.īnoñ  ke  paare  uḌ  ga.e
shaam  tak  bhī  jab  koī  niklā  na  daana  Dālne
aañkh  bhar  bhar  kar  muñDeroñ  se  parinde  uḌ  ga.e
ḳhushbuoñ  ke  rath  se  utre  baal  pochhā  aur  phir
titliyoñ  ke  dosh  par  kafūrī  lamhe  uḌ  ga.e
be-ḳhayālī  mujh  ko  merī  soch  tak  le  aa.ī  aur
chauñkte  hī  mere  kāñdhe  se  farishte  uḌ  ga.e
sab  ke  sab  kal  harf  harf  almāriyoñ  meñ  band  the
kis  tarah  āḳhir  kitāboñ  se  navishte  uḌ  ga.e
aa  gayā  ḳhadshāt  kī  bāhoñ  meñ  yādoñ  kā  badan
ik  dhamāka  aur  ḳhvāboñ  ke  parḳhache  uḌ  ga.e
thī  baḌī  saffāk  mere  ahd  kī  gūñgī  havā
bas  yahī  ki  gardanoñ  se  saare  rishte  uḌ  ga.e