chand  lā-ḳhitāb  āñkheñ  chand  be-laqab  chehre
hasratoñ  ke  ā.īne  be-hasab-nasab  chehre
paare  sābit-o-sālim  ā.inoñ  meñ  haiñ  jab  ki
hote  jaate  haiñ  āḳhir  masḳh  kis  sabab  chehre
pāniyoñ  ne  bil-āḳhir  resha  resha  kar  Daalā
aks-reziyāñ  kab  tak  karte  jāñ-ba-lab  chehre
Duub  jab  ga.iiñ  āñkheñ  saath  saath  sūraj  ke
nikle  sair  karne  ko  ghāTiyoñ  se  tab  chehre
aañkh  par  na  rakhte  the  kal  kisī  ko  lekin  ab
mausamoñ  ke  aage  haiñ  kaise  bā-adab  chehre
kaun  ḳhush-nigāhī  kā  de  subūt  'rahmānī'
ā.ina-gazīda  haiñ  aaj  sab  ke  sab  chehre