aah  ham  haiñ  aur  shikasta-pā.iyāñ
ab  kahāñ  vo  bādiya-paimā.iyāñ
bahr-e-ġham  hai  aur  dil-e-ḳhalvat-pasand
baada  hī  baada  hai  aur  gahrā.iyāñ
ġhaflateñ  ab  sū-e-manzil  le  chalīñ
hotī  jaatī  haiñ  ḳhajil  dānā.iyāñ
mere  talvoñ  ke  lahū  kā  faiz  hai
ye  kahāñ  thiiñ  dasht  meñ  ra.anā.iyāñ
farq  kyā  hai  zindagī  o  maut  meñ
uf  mohabbat  kī  qayāmat-zā.iyāñ
phir  na  ubhrā  jo  koī  Duubā  yahāñ
uf-re  bahr-e-ishq  kī  gahrā.iyāñ
josh-e-tūfāñ  hai  ki  maujoñ  kā  ḳharosh
ab  liye  hai  god  meñ  gahrā.iyāñ
le  uḌā  nashsha  ḳhayāl-e-yār  kā
aa  ga.iiñ  ham  ko  falak-paimā.iyāñ
donoñ  aalam  Duub  kar  gum  ho  ga.e
allāh  allāh  qalb  kī  gahrā.iyāñ
sar  se  ūñchā  ho  gayā  paanī  'jigar'
muntazir  thiiñ  bahr  kī  gahrā.iyāñ