rā.egāñ  jaatī  na  kyuuñ  phir  hama-koshī  us  kī
thī  ġharaz-kār  bahut  halqa-ba-goshī  us  kī
har  taraf  us  ne  diyā  jism-numā.ī  ko  rivāj
ḳhuub  mash.hūr  huī  sāya-faroshī  us  kī
bar-sar-e-ām  mirī  chup  kī  jo  tash.hīr  huī
mushta.il  ho  uThī  āvāz-bagoshī  us  kī
mun.akis  ho  na  sakī  koī  bhī  sūrat  us  se
ya.anī  be-kār  ga.ī  ā.ina-poshī  us  kī
aa  gayā  vo  mirī  ḳhurshed-panāhī  ke  tale
mujh  se  dekhī  na  ga.ī  ḳhāna-badoshī  us  kī
be-farishta  huā  kab  shāna  ḳhabar  tak  na  huī
mujh  pe  taarī  thī  kuchh  is  tarah  be-hoshī  us  kī
ḳhaas  kar  lījiye  'parvez'  kā  saanī  koī
aam  hone  ko  hai  dil-doz  ḳhamoshī  us  kī