the  zamīñ  par  na  āsmān  meñ  the
ham  duāoñ  ke  sā.ebān  meñ  the
guzre  lamhāt  se  chalo  pūchheñ
ham  kahāñ  aur  kis  jahān  meñ  the
kis  tarah  karte  ham  ġhazal-rānī
ik  tavālat  bharī  takān  meñ  the
chāhte  tum  kahīñ  se  paḌh  lete
ham  to  har  ek  dāstān  meñ  the
karte  kirdār  apnī  marzī  ke
pyaar  ke  qisse  har  zabān  meñ  the
ishq  rusvā.iyoñ  se  thā  mahfūz
āb-pāre  jo  nūr-dān  meñ  the
karte  kis  kis  se  āshnā.ī  ham
is  qadar  chehre  aks-dān  meñ  the