tab  se  vafā  kā  tazkira  gūñge  kā  ḳhvāb  ho  gayā
jab  se  maiñ  dil-ba-dar  huā  ḳhāna-ḳharāb  ho  gayā
paa.e  nigāh  aa  lage  jab  lab-e-manzil-e-talab
āñkheñ  pur-āb  ho  ga.iiñ  dariyā  sarāb  ho  gayā
apne  jahāz  le  ke  tab  aa.e  jahāz-rān  kab
merā  jazīra-e-vajūd  jab  tah-e-āb  ho  gayā
chashm-e-vazīr-e-mumlikat  us  pe  huī  jo  mehrbāñ
tab  se  vo  nañg-e-shahr  bhī  ālī-janāb  ho  gayā
haa.e  mirī  jabīn  se  sajde  ke  daaġh  dhul  ga.e
sar  pe  paḌā  huā  thā  jo  saaya  sahāb  ho  gayā
jab  se  hamāre  haath  se  chhīnā  butoñ  ne  iḳhtiyār
apnā  sanam-kadoñ  meñ  rahnā  azaab  ho  gayā