tere  saath  chehre  haiñ  mere  sañg  aa.ina
dekh  aaj  hotā  hai  kis  pe  tañg  ā.īna
bol  ḳhud-shanāsī  phir  kis  tarah  se  mumkin  ho
pesh  kar  rahā  ho  jab  saat  rañg  ā.īna
ḳhud-parastiyoñ  ne  bhī  ḳhuub  raushnī  baḳhshī
ban  gayā  añdheroñ  meñ  ek  sañg  ā.īna
laḳht-laḳht  āvāzeñ  fard  fard  pahchāneñ
shor  shor  ḳhāmoshī  vaj.h-e-jañg  ā.īna
tere  shahr  kā  qissa  mere  shahar  kī  gāthā
saaf  saaf  dhuñdhlāhaT  zañg  zañg  ā.īna
koī  sā  bhī  paikar  ho  is  ko  Dar  nahīñ  lagtā
kyuuñ  ki  apnī  fitrat  se  hai  dabañg  ā.īna
mushtahar  huiiñ  jab  bhī  ujlī  ḳhvāhisheñ  'parvez'
kholtā  nazar  aayā  añg  añg  ā.īna