intihā.ī  bhiiḌ  meñ  ik  ibtidā  hai  āḳhirī
phir  na  hogā  baad  meñ  ye  sāneha  hai  āḳhirī
apnā  apnā  chehra  le  kar  aa  ga.e  haiñ  sab  ke  sab
vaqt  ke  hāthoñ  meñ  jabki  aa.ina  hai  āḳhirī
dekhiye  bantā  hai  kaun  us  kī  malāmat  kā  hadaf
tiir  us  zālim  ke  tarkash  meñ  bachā  hai  āḳhirī
ek  muTThī  āsmāñ  bas  ek  muTThī  āsmāñ
us  parinde  kī  yahī  bas  iltijā  hai  āḳhirī
āḳhirī  baar  aao  āñkheñ  bhar  leñ  'rahmānī'  se  ham
phir  kahāñ  ki  raushnī  kā  silsila  hai  āḳhirī