zāhir  ko  aaj  Tāltā  huuñ
bātin  tirā  khañgāltā  huuñ
ai  āsmān  suraḳh-rū  ho
apnā  lahū  uchhāltā  huuñ
ā.īna-dār  tū  hī  ban  jā
maiñ  ḳhud  pe  ḳhaak  Dāltā  huuñ
aa  dekh  zindagī  ki  kaise
saa.e  meñ  jism  Dhāltā  huuñ
hotā  hai  sard  jab  añdherā
sūraj  tirā  nikāltā  huuñ
tū  apne  āstīñ  se  nālāñ
ik  maiñ  ki  ḳhud  ko  pāltā  huuñ
'parvez'  kaun  hai  ki  jis  se
maiñ  boltā  huuñ  chāltā  huuñ