us  ko  nazrāna-e-jāñ  pesh  kiyā  hai  maiñ  ne
yuuñ  subūt  apnī  vafāoñ  kā  diyā  hai  maiñ  ne
ai  mire  dāman-e-sad-chāk  pe  hañsne  vaale
yaad  kar  terā  garebāñ  bhī  siyā  hai  maiñ  ne
ḳhud-kushī  kī  mire  dil  ne  mujhe  dī  hai  tarġhīb
jab  kisī  ġhair  kā  ehsān  liyā  hai  maiñ  ne
ġhairat-e-ishq  ko  pāmāl  na  hone  dūñgā
zindagī  tujh  se  yahī  ahd  kiyā  hai  maiñ  ne
ai  mirī  ḳhāk-e-vatan  tujh  se  maiñ  sharminda  nahīñ
bārhā  apnā  lahū  tujh  ko  diyā  hai  maiñ  ne
yuuñ  to  marne  ke  liye  zahr  piyā  jaatā  hai
zindagī  tere  liye  zahr  piyā  hai  maiñ  ne
zindagī  mujh  se  bachāne  lagī  dāman  'anjum'
jab  ġham-e-dil  ko  farāmosh  kiyā  hai  maiñ  ne