koī  bāhar  se  koī  andar  andar  TuuT  jaatā  hai
jab  insāñ  aatā  hai  gardish  kī  zad  par  TuuT  jaatā  hai
agar  maiñ  miT  gayā  hālāt  se  to  is  meñ  hairat  kyā
musalsal  choT  paḌtī  hai  to  patthar  TuuT  jaatā  hai
sahar  ke  vaqt  jab  sūraj  nikalnā  chāhtā  hai  to
falak  kī  god  meñ  tāroñ  kā  lashkar  TuuT  jaatā  hai
nahīñ  hai  bad-nasībī  ye  to  is  ko  kyā  kahā  jaa.e
bhalā  lagtā  hai  jo  āñkhoñ  ko  manzar  TuuT  jaatā  hai
ḳhushī  kā  daur  aa.egā  liye  haiñ  ḳhvāb  āñkhoñ  meñ
magar  kyā  kījiye  ye  ḳhvāb  aksar  TuuT  jaatā  hai