ġham-hā-e-mohabbat  kā  asar  dekh  rahā  huuñ
bikhre  hue  dāman  pe  guhar  dekh  rahā  huuñ
ai  husn-e-ruḳh-e-yār  jidhar  dekh  rahā  huuñ
ik  hasb-e-taḳhayyul  o  nazar  dekh  rahā  huuñ
ik  nuur  kī  duniyā  hai  mirī  shauq  kī  manzil
har  zarre  ko  ḳhurshīd-e-nazar  dekh  rahā  huuñ
tum  aur  abhī  husn  ke  pardoñ  ko  uThāo
maiñ  aaj  had-e-tāb-e-nazar  dekh  rahā  huuñ
har  aah  sharar-ḳhez  hai  murġhān-e-qafas  kī
dāmān-e-fuġhāñ  sho.ala-asar  dekh  rahā  huuñ
yuuñ  kākul-o-ruḳh  apne  tasavvur  meñ  haiñ  'jumbish'
ik  marhala-e-shām-o-sahar  dekh  rahā  huuñ