kī  ehtiyāt  dal  ne  bahut  par  kahā  gayā
chhoḌī  jo  un  kī  raah  to  dar  dar  kahā  gayā
saaqī  ne  mere  naam  pe  sāġhar  paTak  diyā
tishna-labī  ko  merā  muqaddar  kahā  gayā
har  chashm-e-iltifāt  ke  husn-e-nigāh  ko
ā.īna-e-ḳhulūs  kā  jauhar  kahā  gayā
ehsās-e-husn-e-zarf  se  miltī  hai  aabrū
paanī  kī  ek  buuñd  ko  gauhar  kahā  gayā
ai  sub.h  kī  kiran  ye  ḳhayālāt-e-zindagī
vo  baat  kaun  thī  jise  ghar  ghar  kahā  gayā
parvāziyoñ  kī  sharh  nazar  tak  na  kar  sakī
lekin  ḳhayāl-e-tā.ir-e-be-par  kahā  gayā
nairañgiyoñ  kī  baat  hai  ai  āriz-e-jamāl
sho.ala  dahak  uThā  to  gul-e-tar  kahā  gayā
'jumbish'  sakūñ-navāz-mizājī  ko  chhoḌiye
ḳhāmoshi-e-hayāt  ko  akasr  kahā  gayā