Jumbish Khairabadi

sukun paya tabiat ne na dil ko hi qarar aaya

Jumbish Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1930

sukūñ paayā tabī.at ne na dil ko qarār aayā

jo aañsū aañkh meñ aayā baḌā be-e'tibār aayā

kisī bāñkpan saare zamāne meñ pukār aayā

chamak āñkhoñ meñ aa.ī nok-e-mizhgāñ par nikhār aayā

muqaddar apnā apnā hai gul-o-shabnam vaadī meñ

koī hañstā huā aayā to koī ashk-bār aayā

mujhe kyā vāsta hai aap ke husn-e-taḳhyyul se

mirī āñkhoñ pe jab aayā mire ḳhvāboñ ko pyaar aayā

tirī be-iltifātī ko ḳhudā rakhe ki ai saaqī

sharāb-e-ġham se ham tishna-laboñ par bhī ḳhumār aayā

hue haiñ rañg-o-bū dast-o-garebāñ aise gulshan meñ

nasīm-e-sub.h dāman bhī ho kar taar taar aayā

dhuāñ jo be-kasoñ aah uTThā to ai 'jumbish'

chaman vaale pukār uTThe ki vo abr-e-bahār aayā

Top Urdushayar.com