jhuum  ke  sāġhar  kaun  uThā.e  kis  ko  paḌī  maiḳhāne  kī
saaqī  ko  bhī  hosh  nahīñ  hai  qismat  hai  paimāne  kī
gulshan  gulshan  yuuñ  phirtī  hai  chāk-garebāñ  phuul  kī  ḳhushbū
jaise  sabā  ne  phailā  dī  ho  baat  kisī  dīvāne  kī
dīvane-pan  kī  ghāTī  meñ  aql  kā  sūraj  Duub  chalā
shahr-e-taḳhayyul  par  chhā.ī  hai  shaam  kisī  vīrāne  kī
saare  sahāre  chhūT  chale  haiñ  sub.h  kā  taarā  Duub  chalā
phir  bhī  tamannā  soch  rahī  hai  baat  kisī  ke  aane  kī
zinda  rah  kar  hī  pahuñchegā  pyaar  kā  naġhma  galiyoñ  galiyoñ
baat  adhūrī  rah  jaatī  hai  jal-bhun  kar  parvāne  kī
bedardoñ  ke  daur  meñ  hai  'jumbish'  ḳhūn-e-tamannā  hone  do
koī  na  koī  aañsū  surḳhī  de  degā  afsāne  kī