phuul  khilte  hī  agar  paañv  meñ  chhāle  hoñge
ai  junūñ  dasht-navardī  ke  bhī  laale  hoñge
un  pe  ho  jā.eñge  ta.amīr  haqīqat  ke  mahal
ham  ne  jo  ḳhvāb  kabhī  zehan  meñ  paale  hoñge
bandagī  merī  tire  dar  kī  jabīñ-sā.ī  hai
mere  sajde  tire  qadmoñ  ke  havāle  hoñge
muskurātā  hai  har  ik  zaḳhm  dil-e-bismil  kā
hañs  ke  qātil  ne  bhī  armān  nikāle  hoñge
ai  bahārān-e-chaman  vaqt  kā  ehsās  rahe
khil  ga.e  phuul  to  kāñToñ  ke  havāle  hoñge
inqalāb  aa  hī  gayā  sehn-e-chaman  meñ  'jumbish'
ab  bahāroñ  ke  bhī  andāz  nirāle  hoñge