sahrā  meñ  jo  dīvāne  se  bād-e-sabā  uljhī
har  mauj-e-gul-e-tar  se  vo  zulf-e-dotā  uljhī
ilzām  nahīñ  tujh  par  ai  bādiya-paimā.ī
dīvāne  kī  qismat  se  sahrā  kī  havā  uljhī
pāband-e-nazākat  thī  nairañgī-e-gul-chīnī
surḳhī-e-gul-e-tar  se  hāthoñ  kī  hinā  uljhī
yā  husn-e-kashish  meñ  jaañ  aur  aap  ne  Daalī  hai
yā  shoḳhī-e-fitrat  hai  dar-parda  hayā  uljhī
ḳhāmosh  tajallī  kī  fitrat  maiñ  samajhtā  huuñ
kyuuñ  ḳhirman-e-dil  se  hī  ai  barq-e-adā  uljhī
dil  meñ  tirī  yādoñ  ne  vo  bijliyāñ  chamkā.īñ
āñkhoñ  se  marī  aa  kar  sāvan  kī  ghaTā  uljhī
zāmin  mirī  uljhan  ke  uljhe  hue  gesū  haiñ
be-vaj.h  mirī  'jumbish'  kab  tab-e-rasā  uljhī