so.e  hue  zehnoñ  meñ  nādīda  saverā  hai
sūraj  ke  bhī  ugne  par  har  samt  añdherā  hai
afsurda  diloñ  meñ  bhī  armānoñ  kā  Derā  hai
sūkhī  huī  shāḳhoñ  par  chiḌiyoñ  kā  baserā  hai
maiñ  sāf-tabī.at  huuñ  kuchh  dil  meñ  nahīñ  rakhtā
kyā  soch  ke  muñh  tum  ne  ā.īne  se  pherā  hai
jaa.eñ  to  kidhar  jaa.eñ  bahke  hue  manzil  se
dhūpeñ  bhī  ghanerī  haiñ  saaya  bhī  ghanerā  hai
'jumbish'  koī  aa  jaa.e  is  vaqt  ḳhayāloñ  meñ
tanhā.ī  kā  aalam  hai  ehsās  ne  gherā  hai