Ateeya Niyazi

shab-gazida ke ghar nahin aati

Ateeya Niyazi

shab-gazīda ke ghar nahīñ aatī

ḳhvāb meñ bhī sahar nahīñ aatī

kyā suneñ des sunā.eñ kyā

koī achchhī ḳhabar nahīñ aatī

ā.īna dūsroñ jānib hai

apnī sūrat nazar nahīñ aatī

aap muñh meñ zabān rakhte haiñ

baat karnī magar nahīñ aatī

dars dete haiñ vo mohabbat

jin ko zer-o-zabar nahīñ aatī

merī qismat hai pachhal-pīrī

lauT jaatī hai ghar nahīñ aatī

bin tire kuchh nazar nahīñ aatā

tujh ko 'atiya' nazar nahīñ aatī

Top Urdushayar.com