bāġhbāñ  jashn-e-bahārāñ  nahīñ  hone  dete
diip  ulfat  ke  farozāñ  nahīñ  hone  dete
zahr  ulfat  kā  pilāte  haiñ  baḌe  faḳhr  ke  saath
aap  insān  ko  insāñ  nahīñ  hone  dete
ḳhud-numā.ī  meñ  kuchh  is  tarah  giraftār  haiñ  ham
aur  logoñ  ko  numāyāñ  nahīñ  hone  dete
aql  ko  shoḳhī-e-bātil  meñ  phañsāne  vaale
qalb  ko  sāhib-e-īmāñ  nahīñ  hone  dete
ġham  se  nisbat  hai  jinheñ  zabt-e-alam  karte  haiñ
ashk  ko  zīnat-e-dāmāñ  nahīñ  hone  dete
rūh-e-afkār  ko  me.aar  atā  karte  haiñ
ham  ḳhayālāt  ko  uryāñ  nahīñ  hone  dete
chand  lamhe  vo  mire  sāmne  rah  kar  'abrār'
chashm-e-betāb  ko  hairāñ  nahīñ  hone  dete