vasvase  dil  meñ  na  rakh  ḳhauf-e-rasan  le  ke  na  chal
azm-e-manzil  hai  to  ham-rāh  thakan  le  ke  na  chal
rāh-e-manzil  meñ  bahr-e-hāl  tabassum  farmā
har  qadam  dukh  sahī  māthe  pe  shikan  le  ke  na  chal
nuur  hī  nuur  se  vābasta  agar  rahnā  hai
sar  pe  sūraj  ko  uThā  sirf  kiran  le  ke  na  chal
pahle  faulād  banā  jism  ko  apne  ai  dost
bārish-e-sañg  meñ  shīsha  sā  badan  le  ke  na  chal
aas  insāf  kī  munsif  se  nahīñ  hai  to  na  rakh
nā-umīdī  kī  magar  dil  meñ  chubhan  le  ke  na  chal