numāyāñ  jab  vo  apne  zehn  kī  tasvīr  kartā  hai
har  ik  ahl-e-mohabbat  ko  bahut  dil-gīr  kartā  hai
vo  kyuuñ  masrūr  hotā  hai  hamārā  ḳhuun  bahne  se
sar-e-haq  kis  liye  zālim  tah-e-shamshīr  kartā  hai
vafā  kā  naam  letā  hai  vafā-nā-āshnā  ho  kar
vo  ḳhud  ko  intihā.ī  pārsā  ta.abīr  kartā  hai
jise  mahrūm  honā  hai  vahī  hai  mutma.in  yaaro
jo  hai  nusrat  kā  tālib  har  qadam  tadbīr  kartā  hai
har  ik  insān  ke  a.amāl  bhī  yaksāñ  nahīñ  hote
koī  ghar  toḌ  detā  hai  koī  ta.amīr  kartā  hai
sadāqat  par  kabhī  un  kā  asar  hone  nahīñ  paatā
vo  apne  kārnāmoñ  kī  bahut  tash.hīr  kartā  hai
koī  bhī  mas.ala  'abrār'  hal  hone  nahīñ  paatā
masā.il  vo  hamāre  sūrat-e-kashmīr  kartā  hai