na.ī  havā  meñ  koī  rañg-e-kā.enāt  meñ  gum
huā  hai  saarā  zamāna  tasannuāt  meñ  gum
gale  kā  haar  kahīñ  ban  na  jaa.e  mahrūmī
na  honā  bhuul  ke  husn-e-takallufāt  meñ  gum
kisī  bhī  shaḳhs  pe  us  ko  taras  nahīñ  aatā
amīr-e-shahr  huā  hai  ye  kin  sifāt  meñ  gum
har  ek  gul  ko  mirī  dastaras  se  duur  kiyā
mirī  nazar  hai  adū  kī  navāzishāt  meñ  gum
bashar  bashar  ne  muqaffal  kiyā  hai  bāb-e-amal
har  ek  zehn  huā  kaisī  nafsiyāt  meñ  gum
kahīñ  bhī  rāh-numā  ab  nazar  nahīñ  aatā
maiñ  kyā  batā.ūñ  ki  huuñ  kaun  sī  jihāt  meñ  gum
husūl-e-ilm  mirā  mudda.ā  hai  ai  'abrār'
isī  liye  huuñ  kitāboñ  meñ  aur  luġhāt  meñ  gum