sub.h-dam  aayā  to  kyā  hañgām-e-shām  aayā  to  kyā
tū  mirī  nākāmiyoñ  ke  ba.ad  kaam  aayā  to  kyā
iltifāt-e-avvalīñ  kī  baat  hī  kuchh  aur  hai
mujh  tak  un  kī  bazm  meñ  ab  daur-e-jām  aayā  to  kyā
tāqat-e-nazzāra  jab  minnat-pazīr-e-hosh  ho
bahr-jalva  phir  koī  bālā-e-bām  aayā  to  kyā
shorish-e-hañgāma-e-mansūr  kī  tajdīd  hai
qatl  ko  mere  vo  bā.īñ  ehtimām  aayā  to  kyā
ab  kahāñ  vo  fasl-e-gul  aur  ab  kahāñ  josh-e-bahār
bahr-e-gul-gasht-e-chaman  vo  ḳhush-ḳhirām  aayā  to  kyā
ai  hujūm-e-nā-murādī  ai  vufūr-e-yās-o-ġham
ishq  meñ  kuchh  lutf-e-sa.ī-e-nā-tamām  aayā  to  kyā
jab  garebāñ  meñ  hamāre  taar  tak  baaqī  nahīñ
phir  agar  sub.h-e-bahārāñ  kā  payām  aayā  to  kyā
ārzū-e-dil  abhī  tak  tishna-e-tafsīr  hai
tujh  ko  'najmī'  shiva-e-husn-e-kalām  aayā  to  kyā