jhalak  parde  se  yuuñ  rah  rah  ke  dikhlāne  se  kyā  hāsil
ye  ThanDī  garmiyāñ  bhī  darmiyāñ  laane  se  kyā  hāsil
rahe  jab  ḳhaak  pā-e-sham.a  par  jal  kar  to  jalnā  hai
nahīñ  girya  to  parvānoñ  ke  jal  jaane  se  kyā  hāsil
abad  tak  saañs  lene  aur  ġham  sahne  meñ  lazzat  hai
dayār-e-ishq  meñ  ghabrā  ke  mar  jaane  se  kyā  hāsil
nahīñ  hotā  hai  koī  kaam  hargiz  vaqt  se  pahle
umīd-o-ārzū  meñ  dil  ko  taḌpāne  se  kyā  hāsil
na  yuuñ  TūTīñ  na  TūTeñgī  kabhī  zindāñ  kī  dīvāreñ
koī  sar  phoḌ  kar  mar  jaa.e  mar  jaane  se  kyā  hāsil
taras  aayā  hai  zālim  ko  na  aa.e  kam-nasīboñ  par
taras  hī  aa  gayā  jab  to  sitam  Dhāne  se  kyā  hāsil
agar  mai-ḳhvār  ik  ik  buuñd  ko  saaqī  taras  jaa.eñ
tire  jām-o-subū  se  tere  maiḳhāne  se  kyā  hāsil
mohabbat  kā  kahīñ  dāman  bharā  hai  bhiik  māñge  se
tumhīñ  kah  do  hamāre  haat  phailāne  se  kyā  hāsil
abhī  baaqī  hai  ik  ummīd-e-marg-e-nā-gahāñ  lekin
usī  zindāñ  meñ  phir  aa.e  to  mar  jaane  se  kyā  hāsil
usī  ke  tevaroñ  ko  dekhtī  rahtī  haiñ  taqdīreñ
dil-e-rāhat-talab  bechain  ho  jaane  se  kyā  hāsil
'jigar'  apne  liye  jiinā  koī  jiine  meñ  jiinā  hai
na  kaam  aa.eñ  kisī  ke  to  jiye  jaane  se  kyā  hāsil
'jigar'  hai  zindagī  jab  tak  ki  garmī  hai  mohabbat  kī
huā  jab  sard  siina  to  jiye  jaane  se  kyā  hāsil