Amjad Najmi

bulbul-e-rangin-nawa KHamosh hai

Amjad Najmi

bulbul-e-rañgīñ-navā ḳhāmosh hai

baaġh saarī fazā ḳhāmosh hai

gul khilā.e us ne kyā kyā baaġh meñ

phir bhī kis darja sabā ḳhāmosh hai

aarzū jin thī mujh ko mil ga.e

ab zabān-e-iltijā ḳhāmosh hai

be-kasī ye kis ne terī panāh

gor kis diyā ḳhāmosh hai

shorish-e-dil shorish-e-mahshar nahīñ

zindagī apnī bhī kyā ḳhāmosh hai

sochtī hai ke ye barse kahāñ

mere ashkoñ ghaTā ḳhāmosh hai

kis ko jiine tamannā hai yahāñ

kyuuñ lab-e-mojiz-numā ḳhāmosh hai

husn-e-dilkash bhī kyā andāz hai

naaz goyā hai adā ḳhāmosh hai

hai yahāñ 'najmī' usī shor-o-ġhul

go ba-zāhir vo sadā ḳhāmosh hai

Top Urdushayar.com