jo  pūchhte  haiñ  ki  ye  ishq-o-āshiqī  kyā  hai
vo  jānte  nahīñ  maqsūd-e-zindagī  kyā  hai
zamīr-e-pāk  ḳhayāl-e-buland  zauq-e-latīf
bas  aur  is  ke  sivā  jauhar-e-ḳhudī  kyā  hai
vafā  kī  aaḌ  meñ  kyā  kyā  huī  jafā  ham  par
jo  dostī  yahī  Thahrī  to  dushmanī  kyā  hai
bajā  hai  fart-e-junūñ  ne  hameñ  kiyā  rusvā
jamāl-e-yār  meñ  āḳhir  ye  dilkashī  kyā  hai
vufūr-e-shauq  kī  māyūsiyāñ  are  tauba
dil-e-tabāh  meñ  ab  aarzū  rahī  kyā  hai
agar  na  jurm-e-mohabbat  kī  ye  sazā  hotī
to  baat  baat  pe  ham  se  ye  be-ruḳhī  kyā  hai
na  samjho  tum  mirī  arz-e-niyāz  ko  shikva
maiñ  jāntā  huuñ  taqāzā-e-bandagī  kyā  hai
atā  kiyā  thā  jo  zauq-e-numūd  us  dil  ko
to  har  qadam  pe  ye  rañg-e-shikastagī  kyā  hai
gurez  kyā  maiñ  karūñ  nāseho  kī  sohbat  se
jahāñ  na  kuchh  ho  ye  sohbat  vahāñ  burī  kyā  hai
vafā  se  aur  na  tark-e-vafā  se  aap  haiñ  ḳhush
mujhe  batā.iye  phir  aap  kī  ḳhushī  kyā  hai
fareb-e-hastī-e-mauhūm  khā  rahā  huuñ  hanūz
mujhe  ḳhabar  hai  haqīqat  yahāñ  mirī  kyā  hai
jo  gāmzan  haiñ  sar-e-jāda-e-talab  'najmī'
vo  jānte  nahīñ  duniyā  meñ  bebasī  kyā  hai