Amjad Najmi

jab koi leta hai mere samne nam-e-ghazal

Amjad Najmi

jab koī letā hai mere sāmne nām-e-ġhazal
yaad aatā hai mujhe ik nāzuk-andām-e-ġhazal
us harīm-e-nāz us ḳhalvat-sarā-e-rāz meñ
bārhā jazbāt ne bāñdhā hai ehrām-e-ġhazal
ek rashk-e-māh kā maiñ kar rahā huuñ tazkira
āsmāñ se kyuuñ na ho ūñchā mirā bām-e-ġhazal
mai-kada bhī guuñj uTThā shor-e-noshā-nosh se
kis qadar hai kaif-āvar ye mirā jām-e-ġhazal
nau-ba-nau tāza-ba-tāza jalva-e-shādāb-e-husn
kar sake kis tarah āḳhir koī itmām-e-ġhazal
aks-e-zan ho jis ke dil meñ partav-e-rañgīn-e-yār
kaun kah saktā hai 'najmī' us ko nākām-e-ġhazal
dekhte haiñ gosha-e-chashm-e-hayā se vo mujhe
mil rahā hai aaj 'najmī' mujh ko in.ām-e-ġhazal
Top Urdushayar.com