nahīñ  kuchh  intihā  afsurdagī  kī
yahī  hai  rasm  shāyad  āshiqī  kī
lab-e-lālīñ  pe  ye  lahreñ  hañsī  kī
yahī  Duube  na  kashtī  zindagī  kī
Dhale  aañsū  ki  ye  TuuTe  sitāre
sukūt  shab  meñ  yaad  aa.ī  kisī  kī
chaman  meñ  buuTā  buuTā  dekhtā  hai
adā.eñ  in  kī  mastāna  ravī  kī
baḌhā.e  jā  qadam  zauq  talab  meñ
shikāyat  kar  na  ijz-o-ḳhastagī  kī
isī  kā  naam  shāyad  zindagī  hai
ḳhushī  kī  ik  ghaḌī  to  ik  ġhamī  kī
sukūn-e-sāhil-e-dariyā  kā  armāñ
karo  bāteñ  na  ye  kam-himmatī  kī
milā  kar  aañkh  phir  āñkheñ  churānā
adā-e-ḳhās  hai  ye  dilbarī  kī
atā  ho  to  atā  ho  dard  aisā
ho  lazzat  jis  meñ  soz-e-dā.imī  kī
abhī  hai  nūr-o-zulmat  kī  kashākash
abhī  hai  duur  manzil  āgahī  kī
hayāt-e-chand-roza  apnī  'najmī'
hai  tasvīr-e-mujassam  bebasī  kī