Jigar Barelvi

apne hi sajde ka hai shauq mere sar-e-niyaz mein

Jigar Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1890-1976
apne hī sajde kā hai shauq mere sar-e-niyāz meñ
ka.aba-e-dil hai sāmne mahv huuñ maiñ namāz meñ
biinā hai gar to ḳhaak Daal dīda-e-imtiyāz meñ
jaam o ḳhum-o-subū na dekh mai-kada-e-majāz meñ
kis kā faroġh-e-aks hai kaun hai mahv-e-nāz meñ
kauñd rahī haiñ bijliyāñ ā.īna-e-majāz meñ
sub.h-e-azal hai sub.h-e-husn shām-e-abad hai dāġh-e-ishq
dil hai maqām-e-irtibāt silsila-e-darāz meñ
parda-e-e'tibār-e-ġhair pairahan-e-ḳhudī hai chaak
husn-e-azal hai jalva-rez sadma-e-dil-gudāz meñ
aql-o-shu.ūr bhī haiñ kyā uqda-e-rāz-e-dahr haiñ
rah ga.e aur ulajh ke ham sa.ī-e-kashūd-e-rāz meñ
yaad kisī kī aa ga.ī kaT ga.ī zindagī kī raat
varna kahāñ numūd-e-sub.h aisī shab-e-darāz meñ
dafn hai dil jagah jagah ka.aba hai gaam gaam par
sajda kahāñ kahāñ kare koī harīm-e-nāz meñ
husn ke āstāne par nāsiya rakh ke bhuul jā
fikr-e-qubūl-o-rad na kar pesh-kash-e-niyāz meñ
ḳhuun ke āñsuoñ se hai zīnat-e-husn-e-dil 'jigar'
chāhiye dāġh-e-ishq bhī sīna-e-pāk-bāz meñ
Top Urdushayar.com