apne  hī  sajde  kā  hai  shauq  mere  sar-e-niyāz  meñ
ka.aba-e-dil  hai  sāmne  mahv  huuñ  maiñ  namāz  meñ
biinā  hai  gar  to  ḳhaak  Daal  dīda-e-imtiyāz  meñ
jaam  o  ḳhum-o-subū  na  dekh  mai-kada-e-majāz  meñ
kis  kā  faroġh-e-aks  hai  kaun  hai  mahv-e-nāz  meñ
kauñd  rahī  haiñ  bijliyāñ  ā.īna-e-majāz  meñ
sub.h-e-azal  hai  sub.h-e-husn  shām-e-abad  hai  dāġh-e-ishq
dil  hai  maqām-e-irtibāt  silsila-e-darāz  meñ
parda-e-e'tibār-e-ġhair  pairahan-e-ḳhudī  hai  chaak
husn-e-azal  hai  jalva-rez  sadma-e-dil-gudāz  meñ
aql-o-shu.ūr  bhī  haiñ  kyā  uqda-e-rāz-e-dahr  haiñ
rah  ga.e  aur  ulajh  ke  ham  sa.ī-e-kashūd-e-rāz  meñ
yaad  kisī  kī  aa  ga.ī  kaT  ga.ī  zindagī  kī  raat
varna  kahāñ  numūd-e-sub.h  aisī  shab-e-darāz  meñ
dafn  hai  dil  jagah  jagah  ka.aba  hai  gaam  gaam  par
sajda  kahāñ  kahāñ  kare  koī  harīm-e-nāz  meñ
husn  ke  āstāne  par  nāsiya  rakh  ke  bhuul  jā
fikr-e-qubūl-o-rad  na  kar  pesh-kash-e-niyāz  meñ
ḳhuun  ke  āñsuoñ  se  hai  zīnat-e-husn-e-dil  'jigar'
chāhiye  dāġh-e-ishq  bhī  sīna-e-pāk-bāz  meñ