na  kuchh  aalim  samajhte  haiñ  na  kuchh  jāhil  samajhte  haiñ
mohabbat  kī  haqīqat  ko  bas  ahl-e-dil  samajhte  haiñ
nishān-e-manzil-e-maqsūd  pā  kar  bhī  na  jo  Thahre
usī  rahrav  ko  ham  āsūda-e-manzil  samajhte  haiñ
tire  sahrā-navardoñ  kā  mazāq-e-justujū  tauba
ġhubār-e-rāh  ko  ye  parda-e-mahmil  samajhte  haiñ
tumhīñ  se  hai  ye  nūr-e-sham.a  aur  ye  soz-e-parvāna
tumhīñ  ko  ahl-e-mahfil  raunaq-e-mahfil  samajhte  haiñ
na  duniyā  bā.is-e-ġhaflat  na  uqbā  vaj.h-e-hushyārī
rahe  jo  tujh  se  ġhāfil  ham  use  ġhāfil  samajhte  haiñ
yahāñ  to  qābil-e-afsos  haiñ  dushvāriyāñ  un  kī
tumhārī  raah  meñ  mushkil  ko  jo  mushkil  samajhte  haiñ
unhīñ  ko  tere  tīr-e-nīm-kash  kā  lutf  aatā  hai
na  siine  ko  jo  siina  aur  na  dil  ko  dil  samajhte  haiñ
gul-e-maqsūd  se  phir  kyuuñ  use  vo  bhar  nahīñ  dete
mire  dāman  ko  jab  vo  kāsa-e-sā.il  samajhte  haiñ
koī  samjhe  na  samjhe  is  haqīqat  ko  magar  'najmī'
ham  apne  dard-e-dil  ko  ishq  kā  hāsil  samajhte  haiñ