tirī  hī  tarah  hameñ  yaad  aane  vaalā  ho
tire  sivā  bhī  koī  to  satāne  vaalā  ho
har  ek  sub.h  yahī  dil  meñ  huuk  uThtī  hai
hameñ  bhī  naaz  se  koī  jagāne  vaalā  ho
vo  kis  umiid  pe  ghar  meñ  rahe  ki  jis  ghar  meñ
na  aane  vaalā  ho  koī  na  jaane  vaalā  ho
har  ik  se  nazreñ  milā.ī  haiñ  un  ke  kūche  meñ
ki  jaise  ab  koī  ham  ko  bulāne  vaalā  ho
hai  dostoñ  ke  liye  aa.ina  nazar  merī
nazar  milā.e  jo  nazreñ  milāne  vaalā  ho
ki  jaise  koī  balā  mujh  pe  aane  vaalī  hai
hirās  kahtā  hai  koī  bachāne  vaalā  ho
chalūñ  to  saath  chale  aur  rukūñ  to  saath  na  de
qadam  qadam  pe  koī  dil  baḌhāne  vaalā  ho
kisī  ko  shahr  meñ  ab  ham  se  laag  hai  na  lagāo
koī  to  ham  se  bhī  nazreñ  bachāne  vaalā  ho
hamāre  shahar  meñ  kyā  kyā  saje  sajā.e  haiñ  ghar
hamāre  ghar  ko  bhī  koī  sajāne  vaalā  ho