udāsiyāñ  sahar-o-shām  kī  nahīñ  achchhī
'jigar'  ye  ḳhū  dil-e-nākām  kī  nahīñ  achchhī
chhalak  chale  na  kahīñ  zarf  ai  dil-e-maḳhmūr
bahut  havas  mai-e-gulfām  kī  nahīñ  achchhī
unhīñ  ko  kartī  hai  be-ḳhānumāñ  jo  be-ghar  haiñ
ravish  ye  gardish-e-ayyām  kī  nahīñ  achchhī
kisī  kī  shān-e-taġhāful  se  hai  vaqār-e-nāz
umiid  nāma-o-paiġhām  kī  nahīñ  achchhī
sivā.e  kashmakash-o-iztirāb  kyā  hāsil
kured  qismat  o  anjām  kī  nahīñ  achchhī
dil-e-hazīñ  na  kahīñ  ishq  bad-gumāñ  ho  jaa.e
talāsh  rāhat-o-ārām  kī  nahīñ  achchhī
kahīñ  ye  phūloñ  ke  iimā  se  hoñ  na  murġh-e-asīr
shikāyateñ  qafas-o-dām  kī  nahīñ  achchhī
'jigar'  ye  yaad  kahīñ  zahr  ho  na  jaa.e  tumheñ
jo  raT  lagī  hai  kisī  naam  kī  nahīñ  achchhī